Al-asar foundation 2.04

khanpur road nikrya pump sakandar cng
Haripur,
Pakistan

About Al-asar foundation

Al-asar foundation Al-asar foundation is one of the popular place listed under Community Organization in Haripur ,

Contact Details & Working Hours

Details

Asalam o Aliakum......
welcom to every one in Al-asar foundation...
Hazrat ALI AS ka farman hai:
"JIS KA MUASH MAZBOT NAHI USKA IMAN MAZBOT NAHI"
Al-Asar foundation k qyam ka awalean maqsad muashary ma asy afrad ki madad karna jo k zarurat mand to hain lakin kisi k agy hath pehlana galt smajty hain.
Hmara maqsad faqt khidmat e insanyat oaur khidmat e khalq hai bila tafrek,mazhab o qoum o rang o nasal....
asy waldain ki madad krna jo apni batiyoun ki shadi karna chaty hain lakin un k pas ikhrajat nahi...
asy nojwan bachon ki mada karna jo parhy likhy to hain lakin by rozgari ky andhearon ma doby howy hain mali halat asy nahi k wo koi karobar kar saken ya baroon mulk jany k ikhrajat bardasht kar saken...
asy bachon ki madad karna jo technical taleem hasil karna chaty hain lakin ikhrajat un k pas nahi......
asi bachiyoun ki madad karna jo dastkari aur deager hunar hasil kar k khud inhesari ki tarf qadam rakhna chti hain....
hamara irada hai k free madical camp lagay jaien aur ak asi hasptal ka qayam jahan zarorat mand marezon ka ilaj bila tafreek kya jae....
asy jadeed technical idaron ka qayam jahan nojwan bachon ko hunar mand bna kar khud kafil kya ja saky..
qarz e hasna k tehat mal mwashi khared kar daina aur us ki wapsi muqarra mudat k andar asan aqsat k sath ho gi ta k diegar log b faida utha saken...
muashray main ksi k sath koi tabqa ya fard zayadti karta hai to mazloom ki qanooni madad karna hmara nasb ul ain hai...
Al asar foundation ka taluq ksi syasi,smaji aur mazhbi tafrrek k sath nahi...
Al asar foundation sy mustafiedhony ki sharayt:
1:qarz e hasna sirf wo ifrad ly sakty hain jo zarurat mand hain guarenty daina lazmi hai.
2:darkoast guzar k hwaly sy faisla adary ka hatmi ho ga.
3:diagar zarurt mand afrad k hwaly sy faisla adara khud sakronti kar k kary ga.
4:adara kisi syasi,government sarvent ki safarish ko kisi surat ma qabol nahi kary ga asa karny walon ki darkoast ko rad kar diya jae ga.
5:asy afrad kisi b waqt aur kabi b adary sy mustafied nahi ho saken gy.
AL ASAR FOUNDATION ki madad ap kasy kar sakty hain?
1:kisi ar project ki mukamal zimadari ly kar yani k akhrajat o intazmi zimadari ly kar.
2:kisi ak nojawan k rozgar k hawaly sy zimadari ly kar.
3:kisi ak bachy k taleemi akhrajat bardasht kar k.
4:kisi ak fard ko qarz e hasna dy kar ya mukaml mali madad kar k.
5:kisi ak bewa ya yateem ki mukaml mali madad kar k ya mahna akhrajat dy kar.
6:kisi zarurat mand bachi ki shadi ki mukaml zmadari ly kar ya hisa dar bn kar.
7:kisi bemar ki bemari k mukaml akhrajat dy kar ya hesa dar ban kar ya hasb e tofeeq adara ki mali muawnat kar k.

Map of Al-asar foundation

Updates from Al-asar foundation

Reviews of Al-asar foundation

   Loading comments-box...